ZEHREELAY JANWAR K ZEHAR KO KHATAM KARNA
NAQSH NO 63 (ZEHEREELAY JANWAR K ZEHAR KO KHATAM
KARNA): Hamara ye mozu un Afrad k liye hai jo kisi Zehreeli cheez k kaat lene
ki waja say shadeed aziyat main mubtila hain. Aisi zehreeli cheezain ziada tar
Ghanay Janglat, Gaon ya aisay Ilaqon main payi jati hain jahan unhen koi nuqsan
na pohancha sakay kiun k Shehron main Aamdo Raft ziada honay ki waja say ye
cheezain aisi jaghon par panah leti hain. Isi liye ziada tar khulay ilaqon k
rehne walay, khaiton main kaam karnay walay, janglat say lakrian katnay walay
ya wahan say guzarnay walay log un cheezon k dasnay ka nishana ban jatay hain.
Kuch zereeli cheezain to foran apna asar dekhati hain aur Insan chand lamhon
main hi tarap kar jaan ganwa beth’ta hai lakin kuch cheezain is qadar zereeli
hoti hain k Insan ka sara jisam gal jata hai, jisam k kuch hisay baykaar ho
jatay hain, zehar phail janay ki waja say unhen apna jisam katwana parta hai
aur in halat main to wo Insan khud hi mot ki talab karta hai lakin mot bhi nahi
ati aur takleef bhi khatam nahi hoti. Isliye har hoshmand Insan k liye zaroori
hai k Aafat k anay say pehle hi Rohani Hifazat ka rasta ikhtiyar karay kiun k Rohani
Hifazat Insan ko kis tarha Aafat say bachati hai ye hum apko apnay mushahiday
ki roo say samjhatay hain. Puranay waqton ki baat hai k hamaray hi Silsilay k
aik Bazurg kisi Gaon k aik Pahari Muqam par kuch arsay k liye Rahaesh Pazeer ho
gaye jis k andr Ghaar thi aur usi Ghaar k andr wo apnay Maraqbat kiya kartay
thay. Hamaray Bazurg farmatay hain k 6 Mah tak to Maraqbat main kamyabi milti
rahi kiun k wahan say kisi ka guzar nahi hota tha. 6 Mah k baad wahan say logon
ka guzar hona shuru ho gaya aur unhi dino k doran aik Admi k cheekhnay chilanay
ki awazen sunaii deen Unhon nay bahir nikal kar dekha to wahan aik Admi Shiddat
E Dard say tarap raha tha aur us k sath 3 admi aur thay jinhon nay bataya k
isay Sanp numa zehreeli cheez nay kata hai lakin dekhte hi dekhte us Admi nay
dam torr diya.